Rajinder Manchanda Bani

wahi dard-e-musalsal wahi sarf-e-dua main

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
vahī dard-e-musalsal vahī sarf-e-duā maiñ
basar hotī huī shab basar hotā huā maiñ
akelā apnā mahram ki apnā dūsrā maiñ
nazar meñ aa.ina maiñ samā.at meñ sadā.eñ
miyān-e-mahsharisatāñ ajab be-vāsta maiñ
nahīñ us kī ḳhabar maiñ nahīñ apnā pata maiñ
maiñ āsāñ bhī kaThin bhī magar tum kaun mere
maiñ aap apnā tazabzub ḳhud apnā faisla maiñ
sukūn-e-nā-āshnā log ye aapas meñ judā log
bahut kuchh dekhtā huuñ sar-e-rāhe khaḌā maiñ
maiñ kyā huuñ kis jagah huuñ kaho vābastagāñ kuchh
na miTTī kī mahak maiñ na parbat kī havā maiñ
tumheñ jab lauTnā ho ḳhushī se lauT aanā
vafā qaa.em milūñgā yahī maiñ tai-shuda maiñ
Top Urdushayar.com