dekhtā thā maiñ palaT kar har aan
kis sadā kā thā na jaane imkān
us kī ik baat ko tanhā mat kar
vo ki hai rabt-e-navā meñ gunjān
TuuTī bikhrī koī shai thī aisī
jis ne qaa.em kī hamārī pahchān
log manzil pe the ham se pahle
thā koī rāsta shāyad āsān
sab se kamzor akele ham the
ham pe the shahr ke saare bohtān
os se pyaas kahāñ bujhtī hai
mūslā-dhār baras merī jaan
kyā ajab shahr-e-ġhazal hai 'bānī'
lafz shaitān suḳhan be-īmān