ai dost maiñ ḳhāmosh kisī Dar se nahīñ thā
qaa.il hī tirī baat kā andar se nahīñ thā
har aañkh kahīñ daur ke manzar pe lagī thī
bedār koī apne barābar se nahīñ thā
kyuuñ haath haiñ ḳhālī ki hamārā koī rishta
jañgal se nahīñ thā ki samundar se nahīñ thā
ab us ke liye is qadar āsān thā sab kuchh
vāqif vo magar sa.ī mukarrar se nahīñ thā
mausam ko badaltī huī ik mauj-e-havā thī
māyūs maiñ 'bānī' abhī manzar se nahīñ thā