ajiib ronā sisaknā navāh-e-jāñ meñ hai
ye aur kaun mire saath imtihāñ meñ hai
ye raat guzre to dekhūñ taraf taraf kyā hai
abhī to mere liye sab kuchh āsmāñ meñ hai
kaTegā sar bhī isī kā ki ye ajab kirdār
kabhī alag bhī hai shāmil bhī dāstāñ meñ hai
tamām shahr ko mismār kar rahī hai huā
maiñ dekhtā huuñ vo mahfūz kis makāñ meñ hai
na jaane kis se tirī guftugū rahī 'bānī'
ye ek zahr ki ab tak tirī zabāñ meñ hai