mast uḌte parindoñ ko āvāz mat do ki Dar jā.eñge
aan kī aan meñ saare aurāq-e-manzar bikhar jā.eñge
shaam chāñdī sī ik yaad palkoñ pe rakh kar chalī jā.egī
aur ham raushnī raushnī apne andar utar jā.eñge
kaun haiñ kis jagah haiñ ki TuuTā hai jin ke safar kā nasha
ek Duubī sī āvāz aatī hai paiham ki ghar jā.eñge
ai sitāro tumheñ apnī jānib se shāyad na kuchh de sakeñ
ham magar rāstoñ meñ rakhe sab charāġhoñ ko bhar jā.eñge
vaqt meñ ik jagah sī banāte hue tiira lamhe yahī
koī andhī kahānī mire dil pe tahrīr kar jā.eñge
ham ne samjhā thā mausam kī be-rahmiyoñ ko bhī aisā kahāñ
is tarah barf girtī rahegī ki dariyā Thahar jā.eñge
aaj aayā hai ik umr kī furqatoñ meñ ajab dhyān sā
yuuñ farāmoshiyāñ kaam kar jā.eñgī zaḳhm bhar jā.eñge