sair-e-shab-e-lā-makāñ aur maiñ
ek hue raftagāñ aur maiñ
saañs ḳhalāoñ ne lī siina bhar
phail gayā āsmāñ aur maiñ
sar meñ sulagtī havā tishna-tar
dam se ulajhtā dhuāñ aur maiñ
ism-e-abad kī talāsh-e-tavīl
husn-e-shuru-e-gumāñ aur maiñ
merī farāvāniyāñ nau-ba-nau
ab hai nashāt-e-ziyāñ aur maiñ
donoñ taraf jañgaloñ kā sukūt
shor bahut darmiyāñ aur maiñ
ḳhaak o ḳhalā be-charāġh aur shab
naqsh o navā be-nishāñ aur maiñ
phir mire dil meñ koī taaza khoT
phir koī saḳht imtihāñ aur maiñ
kab se bhaTakte haiñ bāham alag
lamha-e-kam-mehrbāñ aur maiñ
duur chhatoñ par barastā thā qahr
chup rahe kyuuñ tum yahāñ aur maiñ
ġhair matālib kahīñ aur DhūñD
sahl bahut sharh-e-jāñ aur maiñ