idhar kī aa.egī ik rau udhar kī aa.egī
ki mere saath to miTTī safar kī aa.egī
Dhalegī shaam jahāñ kuchh nazar na aa.egā
phir is ke ba.ad bahut yaad ghar kī aa.egī
na koī jā ke use dukh mire sunā.egā
na kaam dostī ab shahr bhar kī aa.egī
abhī buland rakho yaaro āḳhirī mash.al
idhar to pahlī kiran kyā sahar kī aa.egī
kuchh aur moḌ guzarne kī der hai baanī
sadā na gard kisī ham-safar kī aa.egī