bahut kuchh muntazir ik baat kā thā
ki lamha laakh imkānāt kā thā
bachā lī thī ziyā andar kī us ne
vahī ik āshnā ab raat kā thā
rafāqat kyā kahāñ ke mushtarak ḳhvāb
ki saarā silsila shub.hāt kā thā
bagūle us ke sar par chīḳhte the
magar vo aadmī chup zaat kā thā
hinā.ī haath kā manzar thā 'bānī'
ki tābinda varaq isbāt kā thā