siyāh-ḳhāna-e-ummīd-e-rā.egāñ se nikal
khulī fazā meñ zarā aa ġhubār-e-jāñ se nikal
ajiib bhiiḌ yahāñ jam.a hai yahāñ se nikal
kahīñ bhī chal magar is shahr-e-be-amāñ se nikal
ik aur raah udhar dekh jā rahī hai vahīñ
ye log aate raheñge tū darmiyāñ se nikal
zarā baḌhā to sahī vāqi.āt ko aage
tilism-kārī-e-āġhāz-e-dāstāñ se nikal
tū koī ġham hai to dil meñ jagah banā apnī
tū ik sadā hai to ehsās kī kamāñ se nikal
yahīñ kahīñ tirā dushman chhupā hai ai 'bānī'
koī bahāna banā bazm-e-dostāñ se nikal