koī bhūlī huī shai tāq-e-har-manzar pe rakkhī thī
sitāre chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhī thī
laraz jaatā thā bāhar jhāñkne se us kā tan saarā
siyāhī jaane kin rātoñ kī us ke dar pe rakkhī thī
vo apne shahr ke miTte hue kirdār par chup thā
ajab ik lāpata zaat us ke apne sar pe rakkhī thī
kahāñ kī sair-e-haft-aflāk uupar dekh lete the
hasīñ ujlī kapāsī barf bāl-o-par pe rakkhī thī
koī kyā jāntā kyā chiiz kis par bojh hai 'bānī'
zarā sī os yuuñ to sīna-e-patthar pe rakkhī thī