Rajinder Manchanda Bani

guzar raha hun siyah andhe faslon se main

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
guzar rahā huuñ siyah andhe fāsloñ se maiñ
na ab huuñ rah se ibārat na manziloñ se maiñ
kahāñ kahāñ se alag kar sakoge tum mujh ko
juḌā huā huuñ yahāñ laakh silsiloñ se maiñ
qadam milāne meñ sab kar rahe the quvvateñ sarf
milā huuñ raah meñ kitne hī qāfiloñ se maiñ
maiñ us ke paañv kī zanjīr dekhtā thā bahut
kuchh āshnā na thā apnī hī mushkiloñ se maiñ
ajiib log haiñ kuchh kah do maan lete haiñ
huā huuñ zer bahut zuud qātiloñ se maiñ
kaho to saath bahā le chalūñ ye dukh bhare shahr
guzar rahā huuñ ajab ḳhasta sāhiloñ se maiñ
maiñ kyuuñ burā.ī sunūñ dostoñ kī ai 'bānī'
alag nahīñ unhīñ khoTe khare diloñ se maiñ
Top Urdushayar.com