maiñ us kī baat kī tardīd karne vaalā thā
ik aur hādsa mujh par guzarne vaalā thā
kahīñ se aa gayā ik abr darmiyāñ varna
mire badan meñ ye sūraj utarne vaalā thā
mujhe sambhāl liyā terī ek aahaT ne
sukūt-e-shab kī tarah maiñ bikharne vaalā thā
ajiib lamha-e-kamzor se maiñ guzrā huuñ
tamām silsila pal meñ bikharne vaalā thā
maiñ laḌkhaḌā sā gayā sāya-e-shajar meñ zarūr
maiñ rāste meñ magar kab Thaharne vaalā thā
ab āsmāñ bhī baḌā shānt hai zamīñ bhī sukhī
guzar gayā hai jo ham par guzarne vaalā thā
lagā jo piiTh meñ aa kar vo tiir thā kis kā
maiñ dushmanoñ kī safoñ meñ na marne vaalā thā