Rajinder Manchanda Bani

chamakti aankh mein sahra dikhai saf deta hai

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
chamaktī aañkh meñ sahrā dikhā.ī saaf detā hai
mire lahje meñ sannāTā sunā.ī saaf detā hai
maiñ ik asrār-e-mātam laakh ḳhud meñ gum huā jā.ūñ
magar siina kisī shai kī duhā.ī saaf detā hai
vo kyā kyā baat kartā hai na ik pal bhī bichhaḌne kī
magar lahja ki ehsās-e-judā.ī saaf detā hai
safeñ yuuñ to muqābil dushmanoñ kī haiñ magar un meñ
ajab ik mehrbāñ chehra dikhā.ī saaf detā hai
maiñ aa pahuñchā huuñ ai 'bānī' ajab andhī jagah maanā
hai ab bhī ek rasta jo sujhā.ī saaf detā hai
Top Urdushayar.com