Rajinder Manchanda Bani

dosto kya hai takalluf mujhe sar dene mein

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
dosto kyā hai takalluf mujhe sar dene meñ
sab se aage huuñ maiñ kuchh apnī ḳhabar dene meñ
pheñk detā hai udhar phuul vo gaahe gaahe
jaane kyā der hai dāman mirā bhar dene meñ
saikaḌoñ gum-shuda duniyā.eñ dikhā diiñ us ne
aa gayā lutf use luqma-e-tar dene meñ
shā.erī kyā hai ki ik umr gañvā.ī ham ne
chand alfāz ko imkān o asar dene meñ
baat ik aa.ī hai dil meñ na batā.ūñ us ko
aib kyā hai magar iz.hār hī kar dene meñ
use ma.alūm thā ik mauj mire sar meñ hai
vo jhijhaktā thā mujhe hukm-e-safar dene meñ
maiñ nadī paar karūñ soch rahā huuñ 'bānī'
mauj masrūf hai paanī ko bhañvar dene meñ
Top Urdushayar.com