ik Dher raakh meñ se sharar chun rahā huuñ maiñ
ḳhvāboñ ke darmiyān ḳhabar chun rahā huuñ maiñ
kyā dil-ḳharāsh kaam huā hai mire supurd
ik zard rut ke barg-o-samar chun rahā huuñ maiñ
ik ḳhvāb thā ki TuuT gayā ḳhuuñ ke habs meñ
ab tund dhaḌkanoñ ke bhañvar chun rahā huuñ maiñ
kyā jaane us ke ḳhat meñ dhuāñ kyā hai harf harf
mafhūm chun rahā huuñ asar chun rahā huuñ maiñ
ai ramz-āshnā-e-tajassus idhar bhī dekh
āndhe samundaroñ se guhar chun rahā huuñ maiñ
vo mustaqil ġhubār hai chāroñ taraf ki ab
ghar ke tamām rauzan o dar chun rahā huuñ maiñ
'bānī' nazar kā zāviya badlā hai is tarah
ab har fazā se chīz-e-digar chun rahā huuñ maiñ