damak rahā thā bahut yuuñ to pairahan us kā
zarā se lams ne raushan kiyā badan us kā
vo ḳhaak uḌāne pe aa.e to saare dasht us ke
chale gudāz-qadam to chaman chaman us kā
vo jhuuT sach se pare raat kuchh sunātā thā
diloñ meñ raast utartā gayā suḳhan us kā
ajiib āb-o-havā kā vo rahne vaalā hai
milegā ḳhvāb o ḳhalā meñ kahīñ vatan us kā
tirī taraf se na kyā kyā sitam hue us par
maiñ jāntā huuñ bahut dost bhī na ban us kā
vo roz shaam se sham.eñ dhuāñ dhuāñ us kī
vo roz sub.h ujālā kiran kiran us kā
mirī nazar meñ hai mahfūz aaj bhī 'bānī'
badan kasā huā malbūs be-shikan us kā