dekhiye kyā kyā sitam mausam kī man-mānī ke haiñ
kaise kaise ḳhushk ḳhitte muntazir paanī ke haiñ
kyā tamāshā hai ki ham se ik qadam uThtā nahīñ
aur jitne marhale baaqī haiñ āsānī ke haiñ
vo bahut saffāk sī dhūmeñ machā kar chal diyā
aur ab jhagḌe yahāñ us shaḳhs-e-tūfānī ke haiñ
ik adam-tāsīr lahja hai mirī har baat kā
aur jaane kitne pahlū merī vīrānī ke haiñ
us kī aadat hai ghire rahnā dhueñ ke jaal meñ
us ke saare rog ik andhī pareshānī ke haiñ