libās us kā alāmat kī tarah thā
badan raushan ibārat kī tarah thā
fazā saiqal samā.at kī tarah thī
sukūt us kā amānat kī tarah thā
adā mauj-e-tajassus kī tarah thī
nafas ḳhushbū kī shohrat kī tarah thā
bisāt-e-rañg thī muTThī meñ us kī
qadam us kā bashārat kī tarah thā
gurezāñ aañkh dāvat kī tarah thī
takalluf ik ināyat kī tarah thā
ḳhalish bedār nashshe kī tarah thī
ragoñ meñ ḳhuuñ musībat kī tarah thā
tasavvur par hinā bikhrī huī thī
samāñ āġhosh-e-ḳhalvat kī tarah thā
havas andhī zarūrat kī tarah thī
vo ḳhud daa.im mohabbat kī tarah thā
vahī uslūb-e-sāda sharh-e-dil kā
kisī zinda rivāyat kī tarah thā