mehrāb na qindīl na asrār na tamsīl
kah ai varaq-e-tīra kahāñ hai tirī tafsīl
ik dhund meñ gum hotī huī saarī kahānī
ik lafz ke bātin se ulajhtī huī tāvīl
maiñ āḳhirī partav huuñ kisī ġham ke ufuq par
ik zard tamāshe meñ huā jaatā huuñ tahlīl
vāmānda-e-vaqt aañkh ko manzar na dikhā aur
zimme hai hamāre abhī ik ḳhvāb kī tashkīl
āsāñ hue sab marhale ik mauja-e-pā se
barsoñ kī fazā ek sadā se huī tabdīl