Rajinder Manchanda Bani

mujhe pata tha ki ye hadsa bhi hona tha

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
mujhe pata thā ki ye hādsa bhī honā thā
maiñ us se mil ke na thā ḳhush judā bhī honā thā
chalo ki jazba-e-iz.hār chīḳh meñ to Dhalā
kisī tarah ise āḳhir adā bhī honā thā
banā rahī thī ajab chhitr Dūbtī huī shaam
lahū kahīñ kahīñ shāmil mirā bhī honā thā
ajab safar thā ki ham rāstoñ se kaTte ga.e
phir is ke ba.ad hameñ lāpata bhī honā thā
maiñ tere paas chalā aayā le ke shikve-gile
kahāñ ḳhabar thī koī faisla bhī honā thā
ġhubār ban ke uḌe tez-rau ki un ke liye
to kyā zarūr koī rāsta bhī honā thā
sarā.e par thā dhuāñ jam.a saarī bastī kā
kuchh is tarah ki koī sāneha bhī honā thā
mujhe zarā sā gumāñ bhī na thā akelā huuñ
ki dushmanoñ kā kahīñ sāmnā bhī honā thā
Top Urdushayar.com