rahī na yaaro āḳhir sakat havāoñ meñ
chaar diye raushan haiñ chaar dishāoñ meñ
kaa.ī jamī thī siine meñ jaane kab se
chīḳh uThā vo aa kar khulī fazāoñ meñ
apnī gum āvāzeñ aao talāsh kareñ
sabz parindoñ kī sayyāl sadāoñ meñ
maiñ bhī kured rahā thā ḳhaak kī partoñ ko
vo bhī jhāñk rahā thā duur ḳhalāoñ meñ
ThanDī chhāñv dekh ke vo aa baiThā thā
ulajh gayā bargad kī ghanī jaTāoñ meñ
ghaaT ghaaT koshish kī paar utarne kī
lahr koī dushman thī sab dariyāoñ meñ
vo sarsabz zamīnoñ tak ham-safar rahā
uḌ na sakā phir mere saath havāoñ meñ
paanī zarā barasne de manzar phir dekh
rañg chhupe haiñ sab in siyah ghaTāoñ meñ
aa maiñ tere man meñ jhāñkūñ aur batā.ūñ
kyuuñ tāsīr nahīñ hai tirī duāoñ meñ
sab aapas meñ laḌ kar bastī chhoḌ ga.e
ḳhush ḳhush jā ābād hue sahrāoñ meñ
ek talab ne 'bānī' bahut ḳharāb kiyā
āḳhir ham bhī hue shumār gadāoñ meñ