āsmāñ kā sard sannāTā pighaltā jā.egā
aañkh khultī jā.egī manzar badaltā jā.egā
phailtī jā.egī chāroñ samt ik ḳhush-raunaqī
ek mausam mere andar se nikaltā jā.egā
merī rāhoñ meñ hasīñ kirneñ bikhartī jā.eñgī
āḳhirī taarā pas-e-kohsār Dhaltā jā.egā
bhūltā jā.ūñgā guzrī sā.atoñ ke hādse
qahr-e-ā.inda bhī mere sar se Taltā jā.egā
raah ab koī ho manzil kī taraf le jā.egī
paañv ab kaisā paḌe ḳhud hī sambhaltā jā.egā
ik samāñ khultā huā sā ik fazā be-dāġh sī
ab yahī manzar mire ham-rāh chaltā jā.egā
chhū sakegī ab na mere haath tūfānī havā
jis diye ko ab jalā dūñgā vo jaltā jā.egā