diloñ meñ ḳhaak sī uḌtī hai kyā na jaane kyā
talāsh kartī hai pal pal havā na jaane kyā
zarā sā kaan lagā ke kabhī suno ga.e raat
kahīñ se aatī hai gum-sum sadā na jaane kyā
musāfiroñ ke diloñ meñ ajab ḳhazāne the
ziyāñ safar thā magar rāsta na jaane kyā
vo kah rahā thā na jhāñkūñgā aaj sub.h is meñ
mujhe dikhā.e yahī ā.īna na jaane kyā
duā ke phuul kī ḳhushbū sā phailne vaalā
vo ḳhud meñ DhūñDhtā thā gum-shuda na jaane kyā
nahīñ hai kis kī nazar meñ ufuq koī na koī
is aañkh meñ thī koī shai judā na jaane kyā
tamām shahr meñ gāḌhe dhuveñ kā manzar hai
likhā huā thā yahāñ jā-ba-jā na jaane kyā
vahī bichhaḌte diloñ kī faza-e-ashk-ālūd
vahī safar ki purānā nayā na jaane kyā
nikal gayā hai ḳhalāoñ kī samt ai 'bānī'
navāh-e-jāñ se guzartā huā na jaane kyā