Rajinder Manchanda Bani

mujhse ek ik qadam par bichhaDta hua kaun tha

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
mujh se ik ik qadam par bichhaḌtā huā kaun thā
saath mere mujhe kyā ḳhabar dūsrā kaun thā
tā-ba-manzil ye bikhrī huī gard-e-pā kis kī hai
ai barābar qadam dosto vo judā kaun thā
jaane kis ḳhatre ne baḳhsh dī sab ko ham-sā.egī
varna ik dūsre se yahāñ āshnā kaun thā
pahle kis kī nazar meñ ḳhazāne the us paar ke
misl mere hadoñ se udhar dekhtā kaun thā
kaun thā mausam-e-sāf bhī jis ko aayā na raas
kuchh to ham se kaho vo halāk-e-havā kaun thā
kaun thā mere par taulne par nazar jis kī thī
jis ne sar par mire āsmāñ rakh diyā kaun thā
kis kī bhīgī sadā jhāñktī thī mirī ḳhaak se
maiñ thā apnā khañDar is meñ mere sivā kaun thā
kaun thā qā.il-e-qahr honā thā jis ko abhī
TuuT kar jis pe barsī bhayānak ghaTā kaun thā
Top Urdushayar.com