ab ār-pār dhyān kī mash.al kahāñ hai zeb
gunjān dard kā mire andar dhuāñ hai zeb
gaaḌe siyāh meñ hai lahū kī lapak na lahr
kyuuñ is qadar bhī naqsh-e-nafas be-nishāñ hai zeb
kyuuñ be-asar hai merī duā sahn-e-sub.h meñ
kyuuñ shab-kade meñ merī fuġhāñ rā.egāñ hai zeb
kyuuñ muTThī-bhar sarāb se nuqsān-e-dasht hai
kyuuñ āñkh-bhar namī se chaman kā ziyāñ hai zeb