zamāñ makāñ the mire sāmne bikharte hue
maiñ Dher ho gayā tūl-e-safar se Darte hue
dikhā ke lamha-e-ḳhālī kā aks-e-lā-tafsīr
ye mujh meñ kaun hai mujh se farār karte hue
bas ek zaḳhm thā dil meñ jagah banātā huā
hazār ġham the magar bhūlte-bisarte hue
vo TūTte hue rishtoñ kā husn-e-āḳhir thā
ki chup sī lag ga.ī donoñ ko baat karte hue
ajab nazārā thā bastī kā us kināre par
sabhī bichhaḌ ga.e dariyā se paar utarte hue
maiñ ek hādsa ban kar khaḌā thā raste meñ
ajab zamāne mire sar se the guzarte hue
vahī huā ki takalluf kā husn biich meñ thā
badan the qurb-e-tahī-lams se bikharte hue