Rajinder Manchanda Bani

na manzilen thin na kuchh dil mein tha na sar mein tha

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
na manzileñ thiiñ na kuchh dil meñ thā na sar meñ thā
ajab nazāra-e-lā-samtiyat nazar meñ thā
itaab thā kisī lamhe kā ik zamāne par
kisī ko chain na bāhar thā aur na ghar meñ thā
chhupā ke le gayā duniyā se apne dil ke ghaao
ki ek shaḳhs bahut taaq is hunar meñ thā
kisī ke lauTne kī jab sadā sunī to khulā
ki mere saath koī aur bhī safar meñ thā
kabhī maiñ aab ke tamīr-karda qasr meñ huuñ
kabhī havā meñ banā.e hue se ghar meñ thā
jhijak rahā thā vo kahne se koī baat aisī
maiñ chup khaḌā thā ki sab kuchh mirī nazar meñ thā
yahī samajh ke use ḳhud sadā na dī maiñ ne
vo tez-gām kisī duur ke safar meñ thā
kabhī huuñ terī ḳhamoshī ke kaTte sāhil par
kabhī maiñ lauTtī āvāz ke bhañvar meñ thā
hamārī aañkh meñ aa kar banā ik ashk vo rañg
jo barg-e-sabz ke andar na shāḳh-e-tar meñ thā
koī bhī ghar meñ samajhtā na thā mire dukh sukh
ek ajnabī kī tarah maiñ ḳhud apne ghar meñ thā
abhī na barse the 'bānī' ghire hue bādal
maiñ uḌtī ḳhaak kī mānind rahguzar meñ thā
Top Urdushayar.com