Rajinder Manchanda Bani

ek gul-e-tar bhi sharar se nikla

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
ik gul-e-tar bhī sharar se niklā
bas-ki har kaam hunar se niklā
maiñ tire ba.ad phir ai gum-shudagī
ḳhema-e-gard-e-safar se niklā
ġham nikaltā na kabhī siine se
ik mohabbat kī nazar se niklā
ai saf-e-abr-e-ravāñ tere ba.ad
ik ghanā saaya shajar se niklā
rāste meñ koī dīvār bhī thī
vo isī Dar se na ghar se niklā
zikr phir apnā vahāñ muddat ba.ad
kisī unvān-e-digar se niklā
ham ki the nashsha-e-mahrūmī meñ
ye nayā dard kidhar se niklā
ek Thokar pe safar ḳhatm huā
ek saudā thā ki sar se niklā
ek ik qissa-e-be-ma.anī kā
silsila terī nazar se niklā
lamhe ādāb-e-tasalsul se chhuTe
maiñ ki imkān-e-sahar se niklā
sar-e-manzil hī khulā ai 'bānī'
kaun kis rāhguzar se niklā
Top Urdushayar.com