qadam zamīñ pe na the raah ham badalte kyā
havā bañdhī thī yahāñ piiTh par sambhalte kyā
phir us ke hāthoñ hameñ apnā qatl bhī thā qubūl
ki aa chuke the qarīb itne bach nikalte kyā
yahī samajh ke vahāñ se maiñ ho liyā ruḳhsat
vo chalte saath magar duur tak to chalte kyā
tamām shahr thā ik mom kā ajā.ib-ghar
chaḌhā jo din to ye manzar na phir pighalte kyā
vo āsmāñ the ki āñkheñ sameTtīñ kaise
vo ḳhvāb the ki mirī zindagī meñ Dhalte kyā
nibāhane kī use bhī thī aarzū to bahut
havā hī tez thī itnī charāġh jalte kyā
uThe aur uTh ke use jā sunāyā dukh apnā
ki saarī raat paḌe karvaTeñ badalte kyā
na ābrū-e-ta.alluq hī jab rahī 'bānī'
baġhair baat kiye ham vahāñ se Talte kyā