Rajinder Manchanda Bani

aks koi kisi manzar mein na tha

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
aks koī kisī manzar meñ na thā
koī bhī chehra kisī dar meñ na thā
sub.h ik buuñd ghaTāoñ meñ na thī
chāñd bhī shab ko samundar meñ na thā
koī jhankār rag-e-gul meñ na thī
ḳhvāb koī kisī patthar meñ na thā
sham.a raushan kisī khiḌkī meñ na thī
muntazir koī kisī ghar meñ na thā
koī vahshat bhī mire dil meñ na thī
koī saudā bhī mire sar meñ na thā
thī na lazzat suḳhan-e-avval meñ
zā.iqa harf-e-mukarrar meñ na thā
pyaas kī dhund bhī hoñToñ pe na thī
os kā qatra bhī sāġhar meñ na thā
Top Urdushayar.com