fazā ki phir āsmān bhar thī
ḳhushī safar kī uḌaan bhar thī
vo kyā badan bhar ḳhafā thā mujh se
ki aañkh bhī chup gumān bhar thī
ufuq ki phir ho gayā munavvar
lakīr sī ik ki dhyān bhar thī
vo mauj kyā TuuT kar girī hai
to kyā ye bas imtihān bhar thī
vo ik fasāna zabān bhar thā
ye ik samā.at ki kaan bhar thī
sabab ki ab tak vo pūchhtā hai
mirī udāsī ki aan bhar thī
khulā samundar ki chāñd bhar thā
havā ki shab bādbān bhar thī
hamīñ ne mismār kar dikhā.ī
vo ik rukāvaT chaTān bhar thī
shafaq banī āsmāñ meñ jā kar
jo ḳhuuñ kī buuñd ik nishān bhar thī
na lauT paayā vo jāntā thā
ki vāpsī darmiyān bhar thī
kisī ġhazal meñ na aa.ī 'bānī'
vo ik aziyyat ki jaan bhar thī