sho.ala idhar udhar kabhī saayā yahīñ kahīñ
hogā vo barq-jism subuk-pā yahīñ kahīñ
kin pāniyoñ kā zor use kaaT le gayā
dekhā thā ham ne ek jazīra yahīñ kahīñ
mansūb jis se ho na sakā koī hādsa
gum ho ke rah gayā hai vo lamha yahīñ kahīñ
āvārgī kā Dar na koī Dūbne kā ḳhauf
sahrā hī ās-pās na dariyā yahīñ kahīñ
vo chāhtā ye hogā ki maiñ hī use bulā.ūñ
merī tarah vo phirtā hai tanhā yahīñ kahīñ
'bānī' zarā sambhal ke mohabbat kā moḌ kaaT
ik hādsa bhī taak meñ hogā yahīñ kahīñ