na jaane kal hoñ kahāñ saath ab havā ke haiñ
ki ham parinde maqāmāt-e-gum-shuda ke haiñ
sitam ye dekh ki ḳhud mo'tabar nahīñ vo nigāh
ki jis nigāh meñ ham mustahiq sazā ke haiñ
qadam qadam pe kahe hai ye jī ki lauT chalo
tamām marhale dushvār-e-intihā ke haiñ
fasīl-e-shab se ajab jhāñkte hue chehre
kiran kiran ke haiñ pyāse havā havā ke haiñ
kahīñ se aa.ī hai 'bānī' koī ḳhabar shāyad
ye tairte hue saa.e kisī sadā ke haiñ