Rajinder Manchanda Bani

KHak o KHun ki wusaton se ba-KHabar karti hui

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
ḳhaak o ḳhuuñ kī vus.atoñ se bā-ḳhabar kartī huī
ik nazar imkāñ-hazār-imkāñ safar kartī huī
ik ajab bechain manzar aañkh meñ Dhaltā huā
ik ḳhalish saffāk sī siine meñ ghar kartī huī
ik kitāb-e-sad-hunar tashrīh-e-zā.il kā shikār
ek mohmal baat jaadū kā asar kartī huī
jism aur ik nīm-poshīda havas-āmādgī
aañkh aur sair-e-libās-e-muḳhtasar kartī huī
tishnagī kā zahr siine ko siyah kartā huā
ik talab apne nashe ko tez-tar kartī huī
vo nigah apne liye hai sad-hisāb-e-ārzū
aur mujhe begāna-e-naf-o-zarar kartī huī
Top Urdushayar.com