Rajinder Manchanda Bani

tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
tīrgī balā kī hai maiñ koī sadā lagā.ūñ
ek shaḳhs saath thā us kā kuchh pata lagā.ūñ
bahte jaane ke sivā bas meñ kuchh nahīñ to kyā
dushmanoñ ke ghaaT haiñ naav kaise jā lagā.ūñ
vo tamām rañg hai us se baat kyā karūñ
vo tamām ḳhvāb hai us ko haath kyā lagā.ūñ
kuchh na ban paḌe to phir ek ek dost par
baat baat shak karūñ tohmateñ judā lagā.ūñ
manzar ās-pās kā Dūbtā dikhā.ī de
maiñ kabhī jo duur kī baat kā pata lagā.ūñ
aisī terī bazm kyā aisā zabt-o-nazm kyā
mere jī meñ aa.ī hai aaj qahqaha lagā.ūñ
ye hai kyā jagah miyāñ kah rahe haiñ sab ki yaañ
kuchh kashāñ kashāñ rahūñ dil zarā zarā lagā.ūñ
Top Urdushayar.com