Rajinder Manchanda Bani

aaj to rone ko ji ho jaise

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
aaj to rone ko jī ho jaise
phir koī aas bañdhī ho jaise
shahr meñ phirtā huuñ tanhā tanhā
āshnā ek vahī ho jaise
har zamāne kī sadā-e-ma.atūb
mere siine se uThī ho jaise
ḳhush hue tark-e-vafā kar ke ham
ab muqaddar bhī yahī ho jaise
is tarah shab ga.e TuuTī hai umiid
koī dīvār girī ho jaise
yās-ālūd hai ek ek ghaḌī
zard phūloñ kī laḌī ho jaise
maiñ huuñ aur vāda-e-fardā terā
aur ik umr paḌī ho jaise
be-kashish hai vo nigāh-e-sad-lutf
ik mohabbat kī kamī ho jaise
kyā ajab lamha-e-ġham guzrā hai
umr ik biit ga.ī ho jaise
Top Urdushayar.com