zarā sā imkān kis qadar thā
fazā meñ haijān kis qadar thā
maiñ kis qadar thā qarīb us ke
vo merī pahchān kis qadar thā
libās par thā zarā sā ik daaġh
badan pareshān kis qadar thā
yahī ki us se kabhī na TuuTe
hameñ ki ik dhyān kis qadar thā
na jaane kyā log bichhḌe hoñge
vo moḌ sunsān kis qadar thā
vo saare ġham kyā hue ḳhudāyā
ye dil ki gunjān kis qadar thā
bahāl ho jaa.eñ phir vo rishte
use bhī armān kis qadar thā
bhaTak ga.e kitne log 'bānī'
na.e kā ruj.hān kis qadar thā