Rajinder Manchanda Bani

ye zara sa kuchh aur ek-dam be-hisab sa kuchh

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
ye zarā sā kuchh aur ek-dam be-hisāb sā kuchh
sar-e-shām siine meñ hāñptā hai sarāb sā kuchh
vo chamak thī kyā jo pighal ga.ī hai navāh-e-jāñ meñ
ki ye aañkh meñ kyā hai shola-e-zer-e-āb sā kuchh
kabhī mehrbāñ aañkh se parakh is ko kyā hai ye shai
hameñ kyuuñ hai siine meñ is sabab iztirāb sā kuchh
vo fazā na jaane savāl karne ke ba.ad kyā thī
ki hile to the lab, milā ho shāyad javāb sā kuchh
mire chaar jānib ye khiñch ga.ī hai qanāt kaisī
ye dhuāñ hai ḳhatm-e-safar kā yā TuuTe ḳhvāb sā kuchh
vo kahe zarā kuchh to dil ko kyā kyā ḳhalal satā.e
ki na jaane us kī hai baat meñ kyā ḳharāb sā kuchh
na ye ḳhaak kā ijtināb hī koī rāsta de
na uḌaan bharne de sar pe ye pech-o-tāb sā kuchh
sar-e-sharh-o-iz.hār jaane kaisī havā chalī hai
ki bikhar gayā hai suḳhan suḳhan intiḳhāb sā kuchh
ye bahār-e-be-sāḳhta chalī aa.ī hai kahāñ se
tan-e-zard meñ khil uThā hai piile gulāb sā kuchh
are kyā batā.eñ havā-e-imkāñ ke khel kyā haiñ
ki diloñ meñ bantā hai TūTtā hai habāb sā kuchh
kabhī ek pal bhī na saañs lī khul ke ham ne 'bānī'
rahā umr bhar bas-ki jism o jaañ meñ azaab sā kuchh
Top Urdushayar.com