bajā.e ham-safrī itnā rābta hai bahut
ki mere haq meñ tirī be-zarar duā hai bahut
thī paañv meñ koī zanjīr bach ga.e varna
ram-e-havā kā tamāshā yahāñ rahā hai bahut
ye moḌ kaaT ke manzil kā aks dekhoge
isī jagah magar imkān-e-hādsa hai bahut
bas ek chīḳh hī yuuñ to hameñ adā kar de
muāmla hunar-e-harf kā judā hai bahut
mirī ḳhushī kā vo kyā kyā ḳhayāl rakhtā hai
ki jaise merī tabī.at se āshnā hai bahut
tamām umr jinheñ ham ne TuuT kar chāhā
hamāre hāthoñ unhīñ par sitam huā hai bahut
zarā chhuā thā ki bas peḌ aa girā mujh par
kahāñ ḳhabar thī ki andar se khokhlā hai bahut
koī khaḌā hai mirī tarah bhiiḌ meñ tanhā
nazar bachā ke mirī samt dekhtā hai bahut
ye ehtiyāt-kada hai kaḌe usūloñ kā
zarā se naqs pe 'bānī' yahāñ sazā hai bahut