Rajinder Manchanda Bani

hamein lapakti hawa par sawar le aai

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
hameñ lapaktī havā par savār le aa.ī
koī to mauj thī dariyā ke paar le aa.ī
vo log jo kabhī bāhar na ghar se jhāñkte the
ye shab unheñ bhī sar-e-rahguzār le aa.ī
ufuq se tā-ba-ufuq phailtī bikhartī ghaTā
ga.ī rutoñ kā chamaktā ġhubār le aa.ī
matā-e-vāda sambhāle raho ki aaj bhī shaam
vahāñ se ek nayā intizār le aa.ī
udaas shaam kī yādoñ bharī sulagtī havā
hameñ phir aaj purāne dayār le aa.ī
na shab se dekhī ga.ī barg-e-āḳhirī kī thakan
ki buuñd os se us ko utaar le aa.ī
maiñ dekhtā thā shafaq kī taraf magar titlī
paroñ pe rakh ke ajab rañg-zār le aa.ī
bahut dinoñ se na so.e the ham aur aaj havā
kahīñ se niiñd kī ḳhushbū udhār le aa.ī
vo ik adā ki na pahchān paa.e ham 'bānī'
zarā sī baat thī aafat hazār le aa.ī
Top Urdushayar.com