Rajinder Manchanda Bani

sarsabz mausamon ka nasha bhi mere liye

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
sarsabz mausamoñ kā nasha bhī mire liye
talvār kī tarah hai havā bhī mire liye
mere liye haiñ manzar-o-ma.anī hazār rañg
lafzoñ ke darmiyāñ hai ḳhalā bhī mire liye
shāmil huuñ qāfile meñ magar sar meñ dhuñd hai
shāyad hai koī raah judā bhī mire liye
maiñ ḳhush huā ki muzhda safar kā mujhe milā
phailā huā hai dasht-e-sazā bhī mire liye
dekhūñ maiñ aa.ina to dhuāñ phail phail jaa.e
bolūñ to ajnabī hai sadā bhī mire liye
mere liye tamām aziyyat tamām qahr
aur phuul se laboñ pe duā bhī mire liye
'bānī' ajab tarah se khulī ḳhush-muqaddarī
barg-e-shafaq bhī barg-e-hinā bhī mire liye
Top Urdushayar.com