Rajinder Manchanda Bani

chand ki awwal kiran manzar-ba-manzar aaegi

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
chāñd kī avval kiran manzar-ba-manzar aa.egī
shaam Dhal jaane do shab ziina utar kar aa.egī
mere bistar tak abhī aa.ī hai vo ḳhushbu-e-ḳhvāb
rafta rafta bāzuoñ meñ bhī badan bhar aa.egī
jaane vo bolegā kyā kyā aur barī ho jā.egā
kuchh sunūñgā maiñ to sab tohmat mire sar aa.egī
vo khaḌī hai ik rivāyat kī tarah dahlīz par
sair kā bhī shauq hai lekin na bāhar aa.egī
yuuñ ki tujh se duur bhī hote chale jā.eñge ham
jānte bhī haiñ sadā terī barābar aa.egī
kyā khaḌā naddī kināre dekhtā hai vus.ateñ
kyā samajhtā hai koī mauj-e-samundar aa.egī
kyā ajab hote haiñ bātin rāstoñ ke silsile
koī bhī zindāñ ho 'bānī' raushnī dar aa.egī
Top Urdushayar.com