ham haiñ manzar siyah āsmānoñ kā hai
ik itaab aate jaate zamānoñ kā hai
ek zahrāb-e-ġham siina siina safar
ek kirdār sab dāstānoñ kā hai
kis musalsal ufuq ke muqābil haiñ ham
kyā ajab silsila imtihānoñ kā hai
phir vahī hai hameñ miTTiyoñ kī talāsh
ham haiñ uḌtā safar ab Dhalānoñ kā hai
kaun se ma.arke ham ne sar kar liye
ye nasha sā hameñ kin takānoñ kā hai
ye alag baat vo kuchh batā.e nahīñ
lekin us ko pata sab ḳhazānoñ kā hai
sab chale duur ke pāniyoñ kī taraf
kyā nazāra khule bādbānoñ kā hai
us kī nazroñ meñ saare maqāmāt haiñ
par use shauq andhī uḌānoñ kā hai
aao 'bānī' ki ḳhvāja ke dar ko chaleñ
āstāna hazār āstānoñ kā hai