chalī Dagar par kabhī na chalne vaalā maiñ
na.e anokhe moḌ badalne vaalā maiñ
tum kyā samjho ajab ajab in bātoñ ko
aag kahīñ ho yahāñ huuñ jalne vaalā maiñ
bahut zarā sī os bhigone ko mere
bahut zarā sī āñch, pighalne vaalā maiñ
bahut zarā sī Thes taḌapne ko mere
bahut zarā sī mauj, uchhalne vaalā maiñ
bahut zarā sā safar bhaTakne ko mere
bahut zarā sā hāth, sambhalne vaalā maiñ
bahut zarā sī sub.h bikasne ko mere
bahut zarā sā chāñd, machalne vaalā maiñ
bahut zarā sī raah nikalne ko mere
bahut zarā sī aas, bahalne vaalā maiñ