na harīfāna mire sāmne aa maiñ kyā huuñ
terā hī jhoñkā huuñ ai tez havā maiñ kyā huuñ
raqs yak qatra-e-ḳhūñ aap kashish aap junūñ
ai ram-e-raushnī-e-harf-o-sadā maiñ kyā huuñ
ik bikhartī huī tartīb-e-badan ho tum bhī
raakh hote hue manzar ke sivā maiñ kyā huuñ
ek Tahnī kā yahāñ apnā muqaddar kaisā
peḌ kā peḌ hī girtā hai judā maiñ kyā huuñ
tū bhī zanjīr-ba-zanjīr baḌhā hai mirī samt
saath mere bhī rivāyat hai nayā maiñ kyā huuñ
kaun hai jis ke sabab tujh meñ mohabbat jaagī
mujh meñ kyā tujh ko nazar aayā batā maiñ kyā huuñ
abhī honā hai mujhe aur kahīñ jā ke tulūa
Dūbte mehr ke hamrāh bujhā maiñ kyā huuñ