un ke jalve nigāhoñ meñ Dhalte rahe
hausle dil hī dil meñ machalte rahe
dostoñ ne to kāñTe bichhā.e bahut
muskurāte hue ham bhī chalte rahe
koī phūloñ se dāman ko bhar le gayā
ham khaḌe baaġh meñ haath malte rahe
is kī bharpūr alhaḌ javānī pe ham
muskurāte sisakte machalte rahe
rāste manzileñ duur hotī ga.iiñ
merī fitrat meñ chalnā thā chalte rahe
ashk bahte rahe dil dhaḌaktā rahā
rāt-bhar karvaTeñ ham badalte rahe
umr yuuñ hī guzartī rahī 'shāziya'
choT khāte rahe aur sambhalte rahe