Shahid Kamal

jo is chaman mein ye gul sarw-o-yasman ke hain

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
jo is chaman meñ ye gul sarv-o-yāsman ke haiñ
ye jitne rañg haiñ sab tere pairahan ke haiñ
ye sab karishma-e-arz-e-hunar usī ke haiñ
guloñ meñ naqsh tire hī lab-o-dahan ke haiñ
tabī.atoñ meñ ajab rañg-e-ajnabiyyat hai
ye shāh-pāre to sab tere arz-e-fan ke haiñ
havas meñ ishq meñ tahzīb-e-tarbiyat kā hai farq
vagarna donoñ usī maktab-e-badan ke haiñ
hameñ to lā ke yahāñ par basā diyā gayā hai
ḳhabar hai mulk-e-adam ham tire vatan ke haiñ
amīr-e-shahr tū apnī qabā-e-zar ko bhī dekh
sab is meñ taar mire reza-e-kafan ke haiñ
kahāñ akele mirī ḳhvāhishoñ kā dam niklā
nishāñ bhī us ke gale par mirī ghuTan ke haiñ
ḳhud apne shahr kī tahzīb bhuul baiThe haiñ
ye kaun log haiñ aur jaane kaise ban ke haiñ
mere harīf mirā ehtirām karte haiñ
suḳhan-varoñ meñ bhī charche mire suḳhan ke haiñ
Top Urdushayar.com