Shahid Kamal

ghamon ki raat hai aur itni muKHtasar bhi nahin

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
ġhamoñ kī raat hai aur itnī muḳhtasar bhī nahīñ
bahut dinoñ se tumhārī koī ḳhabar bhī nahīñ
ai shahr-e-dil tirī galiyoñ meñ ḳhaak uḌtī hai
ye kyā huā ki yahāñ koī nauhagar bhī nahīñ
tū mere saath nahīñ hai to sochtā huuñ maiñ
ki ab to tujh se bichhaḌne kā koī Dar bhī nahīñ
maiñ apnā dard kisī aur se kahūñ kaise
mire badan pe koī zaḳhm-e-mo'atabar bhī nahīñ
chalāo teġh ki ab is meñ sochnā kyā hai
mire harīf mire haath meñ sipar bhī nahīñ
haiñ terī fat.h meñ ab bhī shikast ke imkān
mirī shikast meñ andesha-e-zafar bhī nahīñ
jo vāshgāf kare mere ramz ko 'shāhid'
suḳhan-varoñ meñ koī aisā dīda-var bhī nahīñ
Top Urdushayar.com