Shahid Kamal

abr likhti hai kahin aur ghaTa likhti hai

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
abr likhtī hai kahīñ aur ghaTā likhtī hai
roz ik zaḳhm mire naam havā likhtī hai
zard pattoñ kī chamaktī huī peshānī par
hai koī naam jise bād-e-sabā likhtī hai
jo mire naam se mansūb nahīñ hai lekin
vo fasāna bhī mirā ḳhalq-e-ḳhudā likhtī hai
ai mirī jaan mohabbat bhī ajab shai hai ki jo
kūcha-e-gard-e-malāmat ko vafā likhtī hai
sun kisī TuuTe hue dil kā vo nauha to nahīñ
naġhma-e-gul ki jise dast-e-sabā likhtī hai
ik tamannā ke liye phirtī hai sahrā sahrā
zindagī roz koī ḳhvāb nayā likhtī hai
shab ke sannāTe meñ ik maañ kī chhalaktī huī aañkh
apne pyāroñ ke liye harf-e-duā likhtī hai
'shāhid' us ko maiñ sunātā huuñ purānī ġhazleñ
vo mire naam se kuchh sher nayā likhtī hai
Top Urdushayar.com