Shahid Kamal

sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982
sochtā hai kis liye tū mere yaar de mujhe
thak chukā huuñ nafratoñ se thoḌā pyaar de mujhe
kaun huuñ mujhe to apnā naam bhī patā nahīñ
koī merā naam le ke phir pukār de mujhe
in ḳhirad kī hīla-sāziyoñ se tū amaan de
daftar-e-junūñ meñ koī kārobār de mujhe
aaj apne hī muqāble pe DaT gayā huuñ maiñ
teġh koī bhej koī rāhvār de mujhe
is anā kī jañg meñ tū fat.h-yāb kar mujhe
ye sharaf bhī aaj mere shahsavār de mujhe
kuchh ḳhabar to de mire musāfiroñ kī a sabā
kuchh nishān-e-kūcha-hā-e-be-dayār de mujhe
TuuT kar bikhartā jā rahā huuñ is tarah se maiñ
kaash koī haath baḌh ke phir sañvār de mujhe
'shāhid'-e-navā-e-asr ke suḳhan kī qadr kar
lahja-e-sukūt harf-e-e'tibār de mujhe
Top Urdushayar.com